Showing posts with label khwabon ki tabeer. Show all posts
Showing posts with label khwabon ki tabeer. Show all posts

Tuesday 3 February 2015

S SE AANE WALE ALFAZ

S  se aane wale alfaz ki khwaabon ki tabeer

Sar apka bada dekhna: sardari lashkar ki pae, gayab she fatah mile.
Sap ka gost khana: mal dushman ka mile, magar beja saraf ho jae.
Sitara ravshan dekhna: nasiba buland ho, dolat behisab mile.
Sar kisi janvar ka khana: bevakuf se nafa nihayat ho.
Sag dekhna: muflisi bahot ho ehlo ayal se ranj ho.
Sar apna kata dekhna: ohda jata rahe gamo ranj uthna pade.
Suvar dekhna: nokri kafir ki kare,  gunah ke kamo me mubtila ho.
Suli dekhna: hakimo ke julam me giraftar ho aur bahot bimar ho.
Surma lagana: murade ya gayab se basharat mile.
Saap ko pakarte dekhna: dushman par fateh paye, fazal paye.


T SE AANE WALE ALFAZ


Titar dekhna: dalil ekbal he. Jiyadati mal milne ka sabab he.
Takia pana: bujurgi hasil ho bujurgo me shamil ho.
Til chabana: chori me mubtila ho, giraftarika saman ho.
Tannur dekhna: dalil nemat he tarakki e dolat he.
Tar khecna: pareshani aur heranika sabab he.
Tikri dekhna: laskar ki sardari pae, tankha jiyada hath aye.
Tambura bajana: ohda paltan ka pae ya saman shadi ka pesh aye.
Thaila dekhna: bibi achi paye, nokar acha mile.
Tabassum karna: ranjo gam aur musibat pesh aye.
Tavij pana: aseb me fase magar baad arse ke aram ho.



S SE AANE WALE ALFAZ

RADIF-SAA
Samar kaca dekhna: Jo kam shuru kare to human rahe.
Suriya Tara dekhna: mamlekat air mulk hath aye.
Sarid dekhna: roji kusadah rahat beandaja ho.


J SE AANE WALE ALFAZ

RADIF-JIM
Jungle hara dekhna: ranj dur ho, khushi hasil ho, agar sukha jungle dekhe to ese ulta ho.
Jarahat jakham: bimar acha ho, dolat jiyadat mile.
janda jard pila dekhna : sakht bimari me Fase.
Jihad karna: duniya me ejat ho, akebat bakher ho.
Janaja dekhna: farjand khusnasib ho. kisi masuk par sheda ho.
Janda surkh dekhna: kisi masuk par shayda ho, khusi hasil ho.
Janda nila dekhna: umar daraj ho aur rahat jiyadat ho.
Jahaj dekhna: safar haj ka pesh aye, khwaish aur ajijo se judai ho.
Juta tang pehanna: joru se takrar ho. nihayat tang kare.
Jannat dekhna: aurat pakija khidmatgar khush salik ho.


C SE AANE WALE ALFAZ


Chand dekhna: badshah ya hakim ya alim ya akil ho.
Chugad ko urta dekhna: bala aur gam se rihai pae, gam mite khusi hasil ho.
Chikhta chilata dekhna: jis matlab me shak ho vo beshak ho.
Chal darakht ki khana dekhna: halakat me mubtila ho.
cadar dekhna: aurat nek salike wali mile.
Chirag roshan dekhna: umer badi ho. Shaadi ho, aulaad ho.
Chandi galaate dekhna: mal mushkil se mile, lekin barbad ho jae.
Chand gahan dekhna: hakim ke upar afat aye. ya galla mahenga ho jae.
Catar dekhna: hukumat v riyasat pae. dolat behad mile.
Cuha dekhna: aurat badsurat, badkhaslat mile.

Aap ke masail or
sawalat ho to email kare
Amelqadri@gmail.com
DUA O KA TALABGAAR
Amel Qadri

H SE AANE WAKE ALFAZ


Haram sharif dekhna: khuda vande Karim ki taraf se gunah muaf hona.
Hamam me Jana aur gusl karna: hum jinson me izzat mile, duniya me  rahat mile.
Hamam ko thanda aur begair pani ke dekhna: sehat hasil ho, musibat due ho.
 Hukam aurat ka manna: aurat kharab mile.
 Halal karna janvar ka: fele jiname mubtila ho, rusvai ka saman ho.
Halva khana: kare kher jiyada ho, hakime vakt se fayde ho.
 Haq tala ko hisab karte dekhna: ilam hasil kare.
 Hoz dekhna: gunah muaf ho, sahebe dad, aur insaf ho.
Hukka pina dekhna: khero barkat ki nisani he.
Haram karna: jillat uthani ho. baise paresani ho.



K SE AANE WALE ALFAZ


Kharbuja khana: thora dolat mile magar jald khalas ho.
Khane bagh me apko dekhna: sakht bimari se shifa pae.
Khatna karte dekhna: fisko fujur se mahfus rahe, rupiya v nemat se bharpur rahe.
Khacar par savar hote dekhna: malike khacar ki aurat se khayanat kare, har ek ko galiya de.
Khurma taza dekhna: jiyarate harmayan nasib ho. dua kubul ho.
Khosa pana: khubsurat javan kanij hath aye.
Khite tarik yane- andhere gar me akele hona: bimari sakht ho. muflisi ka saman ho.
Khacar ka gosht khana: kuvat jiyada ho, agar piyada ho to savari mile.
Khak barasna: husule nemat ho rafae kudrat ho.
Khutba parna: hifze maratibe din ho.
Khargos dekhna: male halal se fayda uthae.
Khatib se milna: khush avkat marad se mulakat ho.
Khab dekhna: farakhi e nemat ki nishani he.



R SE AANE WALE ALFAZ


Rassi dekhna: din ki rah hath aye, khalkat ko rasta batae.
Rikabi dekhna: nokar acha mile, nemat be hisab mile.
Raat dekhna: bahot sadme uthae, Sab bhed khul jae.
Ran dekhna: mushkil pesh aye, lekin jald dur ho.
Ranj ka dekhna: topkhane me nokar hone ki dalil he.
Rogan dekhna: agar kala ho to safar se salamat aye.
Rote dekhna: tijarat karne me nafa mile.
Roshni dekhna: rah-numa acha mile.
Rah tarak karna: gum-rah hone ki dalil he.
Ras dekhna: shadmika bais he.


J SE AANE WALE ALFAZ


Jikre khuda karte dekhna: agar masjid me dekhe to abid ho agar dariya ke kinare dekhe, to murshide kamil ho.
Jikr karne vale ko parte dekhna: ranjo gam dur hona.
Jikr daraz dekhna: aulad kasir hone ki nishani he.
Juba karna halal janvar ka: hakim se nafa kabir hone ki alamat he.

ACHCHE or BURE KHWAB

Khwab mein bache burhe jawan aurat mard sab hii dekhte he nek aur salih log jo pichli shab mein dekhe vo khwab aksar sahi aur sachi hoti he.
apni khwab nek salih mard momin se  din me bayan kare.
ya khud nek tabir se lein lein.
dil se ghar kar hargiz hargiz khwab na bayan kare agar kisi kism ki darawni khwab dekhne me aye to pahle ye dekhe ke kisi badi chiz ke  khane se pet me girani to na thi ke esi khwaab

L SE AANE WALE ALFAZ


libas kala pahenna: masiyat me giraftar ho, jalil ho.
Lassan pyaz kharidna: kisi amir ke nokar hone ki dalalat he.
hilana: aurat se nihayat nafrat ho.
Lomry dekhna: aurat makkar mile, jann tang kare.
Libas pila pahenna: marze yarkan me giraftar ho.
Libas safed pahenna: gunaho se pak rahe magar duniya ki fikar me rahe.
Libas surkh: mushkil dar pesh ho.
Libas gorva dekhna: tohmate duniya me fase ya ked me rahe.
Loha dekhna: dushman sakht se mukabile ho.


M SE AANE WALE ALFAZ


Minh kasrat se baraste dekhna: rahmate ejadi najil ho.
Mehar dekhna: saltanat mile.
Masjid dekhna: dalil khero barkat ki he.
Makhi dekhna: taklif ka samna ho.
Munga dekhna: hasina umda mile, rat din maja urave.
Moja utarna: joru ko talak dena.
Moti pirona: fane ishq me tak ho.
Minara dekhna: hakim ka hamraz ho.
Murgabi dekhna: hakim se faydemand va khirad mand ho.
Mimbar par charna: rutba buland ho, ya rishtedar dolat mand ho.


N SE AANE WALE ALFAZ


Namaz parna: gunah muaf ho, sahibe avsaf ho.
Nakkara bajana: mulk naya paye. Hukumat hath aye.
Nach dekhna: ranj dur ho.
Nikah karna: baise fakhar ho.
Nariyal dekhna: agar khaye to maraz se aram ho.
Nargis dekhna: mashuk umda mile.
Naddi dekhna: kisi sarkar me pesh ho tankha jiyada ho.
Narangi ba kasrat pana: mal pak mile, aulad saleh peda ho.
Nur dekhna: baise khero barkat he.
Nevla dekhna: khalk ko eja pahochae.



W SE AANE WALE ALFAZ


Wuzu karna: nek kam karne ki dalil he.
Wayiz kehna: nihayat inayate rabbe jalil ho.
Wazifa parna: khalk ko nasihat kare, bure kam se bache.
Viran jamin me aapko dekhna: burayi ke kamo me fase.
Vilayati anar khate dekhna: mariz tandurast ho, agar tandurast ho to bimar ho.
Wiladat larki ki dekhna: khushi hasil ho.

H SE AANE WALE ALFAZ


Haran dekhna: larki nek peda ho, ya kisi mashuk par aashik ho, dill sheda ho.
Har pahenna: gam dur ho, khushi hasil ho.
Hadiya bhegna: jiss ko pahoche usse mohabbat ho.
Hasna: gam ki dalil he.
Hava par aapko urte dekhna: vilayat me kamil bane.
Hava tund dekhna: jaha dekhe us zamin par aafat aye.
Hathi dekhna: bala najil ho, bepar me nafa mile.
Hans dekhna: aurat jamila hath aye.
Hal chalana: shadi ya aulaad ho, rizk barhe.

Y SE AANE WALE ALFAZ


Yasmin pana: aurat khubsurat mile, umar daraz ho.
Yakut pana: maal aur dolat pane ki nishani he.
Yakh yani baraf dekhna: ranj he agar baraf piye khushi ki nishani he.
Bayza dekhna: hath kushada ho, dolat jiyadat ho.



P SE AANE WALE ALFAZ


Pul sirat dekhna: nek kamo ki taraf tabiyat mayil ho.
Para hath me dekhna: bahut rupiye hath lage magar jald kharch ho.
Pan khana dekhna: ham jinn so me surkharu rahe ba abru rahe .
Pip badan se jari dekhna: muflis ko rahat ho dolat mando ko ranj ho.
Pakhana dekhna: ilam hasil karne se khali rahe. magar dolat mand ke jumre me rahe.
Pesa para huva pana: gam ki nishani he. nihayat herani ho.
Paw jamin par marna: musibat me mubtila ho ranj ka saman ho.
Paw dekhna: safar pesh aye. ranj ka samna ho.
Pyasa aapko dekhna: hiras barhe aur nek kam me khalal pare.
Pinjare ko dekhna: ked me fase, ranj me mubtila ho.



Z SE AANE WALE ALFAZ


Zamin karna: jis ki jamanat kare usme nafa paye.
Ziyafat Khana, khilana: jis ke yaha khaye vo mahobbat kare.


D SE AANE WALE ALFAZ


Dat apne girte dekhna: bimari ki alamat he, halakat ka bais he sadka dena cahiye.
Dat sone candi ke dekhna: umar daraz ho, rahat nasib ho.
Darakht fulo ka dekhna: rupiye besumar pae, mashuk umda mile.
Darvaza alishan dekhna: aurat nek mile, ya sarkari khidmat hath lage.
Dava dekhna: rusiyahi hasil ho, sharm shamil ho sadka karna cahiye.
Darakht mevedar dekhna: dalil behtari ki he.
Darakht besmar dekhna: dalil khvari ki he.
Darakht par apko charte dekhna: martaba buland pae ya hakim se faeda hoga.
Dudh un janvaro ka pina Jo halal he: roji halal pae, agar usse ulta dekhe to aurat badkar se milap ho.
Dahi dekhna: safar pesh aye aur tandurast picha gar aye.


S SE AANE WALE ALFAZ 2


Sandal dekhna: shadi ho, ya koi mashur sharik due ho.
Sabun dekhna: kalb ki safai ho, mariz ko aram ho.
Surahi dekhna: ishrat nasib ho, dolate dunyavi hasil ho.
Saraf dekhna: bure bhale ki pahcan hasil ho.
Sahra dekhna: dur ki safar ho, ya divana ho jaye.
Sayaad dekhna: makar via hila ikhatyar kare, ya mukhatyar bane.
Sadka dekhna: agar deve, to najat paye, aur le to sakht bala me mubtila ho.
Soma dekhna: rahnuma kelaye.
Saye ka dekhna: tavangar muflis ho. fakir gani ho.
Sandal dekhna: nek nami ho, alim bujurg ho.


Pehli muharram ka asardar wazifa rozi me barkat ka

https://www.nabwi.com/imam-hussain-karbala-story-in-hindi-urdu-1/ imam husain https://www.nabwi.com/islamic-hadees-in-hindi-new-post-40/