Tuesday, 3 February 2015

H SE AANE WALE ALFAZ


Haran dekhna: larki nek peda ho, ya kisi mashuk par aashik ho, dill sheda ho.
Har pahenna: gam dur ho, khushi hasil ho.
Hadiya bhegna: jiss ko pahoche usse mohabbat ho.
Hasna: gam ki dalil he.
Hava par aapko urte dekhna: vilayat me kamil bane.
Hava tund dekhna: jaha dekhe us zamin par aafat aye.
Hathi dekhna: bala najil ho, bepar me nafa mile.
Hans dekhna: aurat jamila hath aye.
Hal chalana: shadi ya aulaad ho, rizk barhe.

Y SE AANE WALE ALFAZ


Yasmin pana: aurat khubsurat mile, umar daraz ho.
Yakut pana: maal aur dolat pane ki nishani he.
Yakh yani baraf dekhna: ranj he agar baraf piye khushi ki nishani he.
Bayza dekhna: hath kushada ho, dolat jiyadat ho.



P SE AANE WALE ALFAZ


Pul sirat dekhna: nek kamo ki taraf tabiyat mayil ho.
Para hath me dekhna: bahut rupiye hath lage magar jald kharch ho.
Pan khana dekhna: ham jinn so me surkharu rahe ba abru rahe .
Pip badan se jari dekhna: muflis ko rahat ho dolat mando ko ranj ho.
Pakhana dekhna: ilam hasil karne se khali rahe. magar dolat mand ke jumre me rahe.
Pesa para huva pana: gam ki nishani he. nihayat herani ho.
Paw jamin par marna: musibat me mubtila ho ranj ka saman ho.
Paw dekhna: safar pesh aye. ranj ka samna ho.
Pyasa aapko dekhna: hiras barhe aur nek kam me khalal pare.
Pinjare ko dekhna: ked me fase, ranj me mubtila ho.



Z SE AANE WALE ALFAZ


Zamin karna: jis ki jamanat kare usme nafa paye.
Ziyafat Khana, khilana: jis ke yaha khaye vo mahobbat kare.


D SE AANE WALE ALFAZ


Dat apne girte dekhna: bimari ki alamat he, halakat ka bais he sadka dena cahiye.
Dat sone candi ke dekhna: umar daraz ho, rahat nasib ho.
Darakht fulo ka dekhna: rupiye besumar pae, mashuk umda mile.
Darvaza alishan dekhna: aurat nek mile, ya sarkari khidmat hath lage.
Dava dekhna: rusiyahi hasil ho, sharm shamil ho sadka karna cahiye.
Darakht mevedar dekhna: dalil behtari ki he.
Darakht besmar dekhna: dalil khvari ki he.
Darakht par apko charte dekhna: martaba buland pae ya hakim se faeda hoga.
Dudh un janvaro ka pina Jo halal he: roji halal pae, agar usse ulta dekhe to aurat badkar se milap ho.
Dahi dekhna: safar pesh aye aur tandurast picha gar aye.


S SE AANE WALE ALFAZ 2


Sandal dekhna: shadi ho, ya koi mashur sharik due ho.
Sabun dekhna: kalb ki safai ho, mariz ko aram ho.
Surahi dekhna: ishrat nasib ho, dolate dunyavi hasil ho.
Saraf dekhna: bure bhale ki pahcan hasil ho.
Sahra dekhna: dur ki safar ho, ya divana ho jaye.
Sayaad dekhna: makar via hila ikhatyar kare, ya mukhatyar bane.
Sadka dekhna: agar deve, to najat paye, aur le to sakht bala me mubtila ho.
Soma dekhna: rahnuma kelaye.
Saye ka dekhna: tavangar muflis ho. fakir gani ho.
Sandal dekhna: nek nami ho, alim bujurg ho.


S SE AANE WALE ALFAZ


Shakkar chakhna:  bara emandar ho.
Satranj khelna: saltanat ke muamle me talash ho.
Shorba khana: aram pane ki alamat he.
Shikar khelna: badshah ka hamnasin bane. ya kahi ki hukumat hath aye.
Shamla pahenna: be nokar ho, to nokar ho jaye. ya mal se tavangar ho jaye.
Shaytan ko aurat ki shakal me dekhna: aurto ki sohbat me rat din rahe, makkari ke kam kare.
Sher dekhna: hakim ka hamraz bane.
Shisa dekhna: sadma pahoce, nihayat ranj ho.
Sama dekhna: sardar lashkar ka bane.
Shana dekhna: ya muvafikat kare.




Pehli muharram ka asardar wazifa rozi me barkat ka

https://www.nabwi.com/imam-hussain-karbala-story-in-hindi-urdu-1/ imam husain https://www.nabwi.com/islamic-hadees-in-hindi-new-post-40/...