Tuesday, 3 February 2015

R SE AANE WALE ALFAZ


Rassi dekhna: din ki rah hath aye, khalkat ko rasta batae.
Rikabi dekhna: nokar acha mile, nemat be hisab mile.
Raat dekhna: bahot sadme uthae, Sab bhed khul jae.
Ran dekhna: mushkil pesh aye, lekin jald dur ho.
Ranj ka dekhna: topkhane me nokar hone ki dalil he.
Rogan dekhna: agar kala ho to safar se salamat aye.
Rote dekhna: tijarat karne me nafa mile.
Roshni dekhna: rah-numa acha mile.
Rah tarak karna: gum-rah hone ki dalil he.
Ras dekhna: shadmika bais he.


J SE AANE WALE ALFAZ


Jikre khuda karte dekhna: agar masjid me dekhe to abid ho agar dariya ke kinare dekhe, to murshide kamil ho.
Jikr karne vale ko parte dekhna: ranjo gam dur hona.
Jikr daraz dekhna: aulad kasir hone ki nishani he.
Juba karna halal janvar ka: hakim se nafa kabir hone ki alamat he.

ACHCHE or BURE KHWAB

Khwab mein bache burhe jawan aurat mard sab hii dekhte he nek aur salih log jo pichli shab mein dekhe vo khwab aksar sahi aur sachi hoti he.
apni khwab nek salih mard momin se  din me bayan kare.
ya khud nek tabir se lein lein.
dil se ghar kar hargiz hargiz khwab na bayan kare agar kisi kism ki darawni khwab dekhne me aye to pahle ye dekhe ke kisi badi chiz ke  khane se pet me girani to na thi ke esi khwaab

L SE AANE WALE ALFAZ


libas kala pahenna: masiyat me giraftar ho, jalil ho.
Lassan pyaz kharidna: kisi amir ke nokar hone ki dalalat he.
hilana: aurat se nihayat nafrat ho.
Lomry dekhna: aurat makkar mile, jann tang kare.
Libas pila pahenna: marze yarkan me giraftar ho.
Libas safed pahenna: gunaho se pak rahe magar duniya ki fikar me rahe.
Libas surkh: mushkil dar pesh ho.
Libas gorva dekhna: tohmate duniya me fase ya ked me rahe.
Loha dekhna: dushman sakht se mukabile ho.


M SE AANE WALE ALFAZ


Minh kasrat se baraste dekhna: rahmate ejadi najil ho.
Mehar dekhna: saltanat mile.
Masjid dekhna: dalil khero barkat ki he.
Makhi dekhna: taklif ka samna ho.
Munga dekhna: hasina umda mile, rat din maja urave.
Moja utarna: joru ko talak dena.
Moti pirona: fane ishq me tak ho.
Minara dekhna: hakim ka hamraz ho.
Murgabi dekhna: hakim se faydemand va khirad mand ho.
Mimbar par charna: rutba buland ho, ya rishtedar dolat mand ho.


N SE AANE WALE ALFAZ


Namaz parna: gunah muaf ho, sahibe avsaf ho.
Nakkara bajana: mulk naya paye. Hukumat hath aye.
Nach dekhna: ranj dur ho.
Nikah karna: baise fakhar ho.
Nariyal dekhna: agar khaye to maraz se aram ho.
Nargis dekhna: mashuk umda mile.
Naddi dekhna: kisi sarkar me pesh ho tankha jiyada ho.
Narangi ba kasrat pana: mal pak mile, aulad saleh peda ho.
Nur dekhna: baise khero barkat he.
Nevla dekhna: khalk ko eja pahochae.



W SE AANE WALE ALFAZ


Wuzu karna: nek kam karne ki dalil he.
Wayiz kehna: nihayat inayate rabbe jalil ho.
Wazifa parna: khalk ko nasihat kare, bure kam se bache.
Viran jamin me aapko dekhna: burayi ke kamo me fase.
Vilayati anar khate dekhna: mariz tandurast ho, agar tandurast ho to bimar ho.
Wiladat larki ki dekhna: khushi hasil ho.

Pehli muharram ka asardar wazifa rozi me barkat ka

https://www.nabwi.com/imam-hussain-karbala-story-in-hindi-urdu-1/ imam husain https://www.nabwi.com/islamic-hadees-in-hindi-new-post-40/...