Monday, 1 August 2016

Aham masail

✳✳✳✳✳✳✳✳
zaror padhe forward bhi kre
-Tauheed  ka bayan
-Shirk kya hai
-Kya ALLAH k Neek bande imdad krte hai   
-Zaati aur Attai me kya fark hai
-Shafaat ka bayan
-Ilm e Gaib e MUSTAFAﷺ
-Ikhteyar e MUSTAFAﷺ
✳✳✳✳✳✳✳✳
Tauheed ke Meaning:

ALLAH TA'ALA ki Zaat-e-paak ko uski zaat o siffaat main shareek se Paak maanna, Yaani jesa ALLAH TA'ALA hai, wesa hum kisi ko ALLAH TA'ALA na maanen, agar koi ALLAH TA'ALA k hote huwe, kisi dusre ko ALLAH TA'ALA Tassawwur karta hai, to woh Zaat-e-Bari TA'ALA main Shirk karta hai.

SHIRK kise kehte hain: ALLAMA Taftaazaani (Rehmatullah) apni kitaab Sharah Aqaid-e-Nasfiyah main Shirk ki Taareef is tarah farmate hain, " Kisi ko Shareek therane se murad yehhai k, Majoosiyon ki tarah kisi ko Khuda aur Waajib ul Wajood samjha jae, ya But Paraston ki tarah kisi ko ALLAH k siwa Ibadat k laek samjha hae" SHIRK ki taareef se maaloom huwa k 2 Khudaon k Maanne waale jese, Majoosi(AAG PARAST), mushrik hain, isi tarah ALLAH k siwae Ibadat k laek samajhne waala Mushrik hoga.. E.g Jese But Parast jo Buton ko mustahik-E-ibadat samajhte hain..

SHIRK ki QISMEN (types or Kinds): Shirk ki 3 qismen (types or kinds) hain, 1) Shirk-FiL-IBADAT 2) Shirk-Fiz-ZAAT 3) Shirk-Fis-SIFFAAT
1) Shirk-FiL-IBADAT : Is se murad hai, k ALLAH TA'ALA k ilawa kisi aur zaat ko Ibadat k Laeksamjha jae..
2) Shirk-Fiz-ZAAT: Is se murad hai k kisi zaat ko ALLAHTA'ALA jesa maanna, jesa k Majoosi 2 khuda ko maante the.. 3) Shirk-Fis-SIFFAAT: Kisi Zaat o shakhsiyat wagera main ALLAH TA'ALA jesi Siffaat maanna (ALLAH TA'ALA ki Ata k bager), SHIRK-FIS-SIFFAAT kehlata hai. Shaitaan SHIRK-FIS-SIFFAT ki haqeeqt ko samajhne se rokta hai, aur yahaan Ummat main waswasay paida karta hai ab main aap ko QURA'AN ki Aayat k zariye SHIRK-FIS-SIFFAAT samjhata hun.. Gor se parhiyaga
1) ALLAH TA'ALA RAOUF AUR RAHEEM HAI: Tarjuma: "Beshak ALLAH TA'ALA Logon par RAOUF AUR RAHEEM hai". (Surah Bakara, Aayat 143) * SARKAR (ALEH SALAAM) Bhi RAOUF AurRAHEEM hain: Tarjuma: "Beshak tumhare pas tashreef lae, tum main se woh Rasool jin par tumhara Mushkat parna, Giraan(bhari) hai, tumhari Bhalai k nihayat chahne waale, Mominon par RAOUF AUR RAHEEM hain". (Surah Toba, Ayat 128, Para 10) NOTE: Pehli Aayat par Gor karen to sawaal peda hota hai k RAOUUF aur RAHEEM,ALLAH TA'ALA ki Siffat hain, phir Dusri Aayat main Huzoor (Aleh Salaam) ko RAOUFaur RAHEEM farmaya gaya , to kiya yeh SHIRK hogaya???? Is main Tatbee yun Qaem hogi, k ALLAH TA'ALA haqeeqi tor par RAOUF aur RAHEEMhai, jab k Huzoor (Aleh Salaam), ALLAH TA'ALA ki Ata se RAOUF aur RAHEEM hain, Lihaza jahaan Zaati aur Ataai ka Faraq waazeh hojae, wahaan SHIRK ka Hukum nahin lagta.
2) ILM-E-GAIB, ALLAH TA'ALA K SIWA KISI K PASS NAHIN: Tarjuma: "Tum farmao ALLAH k siwa Gaib nahin jante, jo koi Aasmanon aur zameenon main hai". (Surah Namal, Aayat 65, Parah 20)
* RASOOLON KO BHI ILM-E-GAIB ATA KIYA GAYA : Tarjuma: "Gaib ka jaanne wala, apne Gaib par sirf apne Pasandeeda RASOOLON hi ko Aagah farmata hai, har kisi ko Yeh ILM nahin deta". (Surah JIN, Aayat 26/27, Parah 29) NOTE: Pehli Aayat se saabit huwa k ILM-E-GAIB ALLAH TA'ALA ki Siffat hai, magar Dusri Aayat se maaloom huwa k ILM-E-GAIB, ALLAH TA'ALA ne apne pasandeeda RASOOLON ko bhi Ata kiya hai, to kiya yeh SHIRK hogaya?? Is ki Tatbee yun Qaem hogi k ALLAH TA'ALA ZAATI tor par AALIM-E-GAIB hai, jab kALLAH TA'ALA k tamaam RASOOLON ko ALLAH TA'ALA ki Ata se ILM-E-GAIB par Aagahi haasil hai, Lihaza jahaan ZAATI aur ATAAI ka faraqwaazeh hojae, wahaan SHIRK ka hukum nahin lagta.
3)MADADGAAR SIRF ALLAH TA'ALA HAI: Tarjuma: "Yeh is liya k Musalmaano ka madadgaar ALLAH hai" (Surah Muhammad, Aayat 11, Parah 26) * JIBRAEL (ALEH SALAAM) AUR OLIYA-E-KARAM BHI MADADGAAR HAIN: Tarjuma: "Beshak ALLAH un ka madadgaar hai, aur Jibrael, aur Naik Momineen madadgaar hain". (Surah Tehreem, Aayat 4, Parah 28) NOTE: Pehli Aayat par Gor karen to yeh Sawaal peda hoga, k Madad karna ALLAH TA'ALA ki siffat hai, phir dusri Aayat main Hazrat Jibrael (Aleh Salaam) aur Oliya-E-Karam ko madadgaar farmaya, to kiya yeh SHIRK huwa??? Is main Tatbee yun Qaem hogi, k ALLAH Haqeeqi madadgaar hai, Aur Jibrael (Aleh Salaam), aur Oliya-E-Karam, ALLAH TA'ALA ki Ata se madadgaar hain, jo Zaat-E-Baari TA'ALA Ata farma rahi hai, us main aur jis ko Ata kiya ja raha hai, un Hazraat main barabri ka Tassawwur bhi nahin kiya jasakta, aur jab barabri nahin to SHIRK kahaan se hoga?? 4) * Bager ALLAH TA'ALA ki Ijazat k kon hai jo SHAFA'AT Kare: Tarjuma: "Kon hai jo Shafa'at kare bager Izn-E-KUDAWANDI k". (Suarh Bakarah, AaytalKursi, Parah 3) * HAZRAT EESAA (Aleh Salaam) ka ALLAH TA'ALA k hukum se Shifa dena: Tarjuma: "Aur main Acha karta hun Andhay aur Korhi ko, aur Murday zinda karta hun, ALLAH k hukum se". (Surah Al-Imran, Aayat 49, Para 3) NOTE: Pehli Aayat se maaloom huwa kBager ALLAH TA'ALA ki Ata k kisi k liye Shafa'at ka Aqeedah rakhna SHIRK hai magar ALLAH TA'ALA ki Ata se Shifa'at ka Aqeedah rakhna "TAUHEED" hai, isi tarah dusri Aayat se maaloom huwa, k murdon ko chalana, shifa dena, yeh ALLAH TA'ALA ki Siffaat hain, magar ALLAH TA'ALA kisi ko ata karden, to ALLAH k khazane main koi kami nahin, Lihaza Ahle-ALLAH k muta'alliq yeh Aqeedah rakhna k woh ALLAH TA'ALA ki Ata se murdon ko chala sakte hain, yeh SHIRK nahin hai, Q k ZAATI aur Ataai kaam baraabar nahin hosakte, aur jab Baraabari nahin to SHIRK b na huwa. ALHAMDULILLAH,
AHL-E-SUNNAT WAL JAMAAT ( MASKAK E AALAHAZRAT ) ka bhi yahi Aqeedah hai.
✅MASLAK E AHLESUNNAT Yani
MASLAK E AALAHAZRAT ZINDABAAD
◽Duao ka Talib:
GULAM E NOORI wo
GULAME HUZOOR SALMAN RAZA
Post will be Continue......
🔀 is post ko zaror ba zaror forward kre aur Aaqaid k ilm se mustafis wo malamaal ho.

No comments:

Pehli muharram ka asardar wazifa rozi me barkat ka

https://www.nabwi.com/imam-hussain-karbala-story-in-hindi-urdu-1/ imam husain https://www.nabwi.com/islamic-hadees-in-hindi-new-post-40/...